|
|
Ghazal SMS - Page No.1
|
Ghazal SMS / Text Messages
|
• Uss k honton ka tabassum rahay
qayaim “YA RUB”
Uss k jeevan main khushiyon ka
basaira ker day…
Tu meri “KARB” ki raaton ko bhalay
khatam na ker,
Uss ke her shaam k aakhir mai
“SAWAIRA” ker day.
Uss k “DIL” k kisi konay main jaga
day mujh ko…
Uss ki “AANKHON” ko meray sapnon say
khaira ker day
Yeh meray dil ki dua hay “MERA MOLA
SUN LAY”…
Saaaari duniya say chupa ker “USSAY
MERA KER DAY” |
• Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man
day do
Apni muskurahatain apna bholapun day
do
Apni ankhain baksh do apna husn
nawaz do
Apna sakhan day do apnay dil ka dhun
day do
Tumharay dum say meray jevan mein
khushiyain hain bahar hay
Mein kuch kehna chahta hon mujhey
tumse mohabbat hay, mujhey tum se
pyar hay
Meri in khuwahishon ko umid ki koi
kiran day do
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man
daydo
Tumhary siwa koi nahi meri soch,
meray giyan mein
Meray as pas, meray door tuk, meray
thory say wajdan mein
Mein nay zara si khushbo mangi hay
kub kaha chaman daydo
Apni yad rakhnay ko kuch tou jan-e-man
daydo
K jub tum door chalay jao koi to
tanhai mein sahara ho
Tumhari zaat say mansoob kuch to
hamara ho
Mujhey meray khuwab mujhey meray
dulhan day do
Meri zindagi lay lo mujhey apna
daman day do
Agar apni zaat say kuch bhi daina
nahin chahtay
Mujhey apnay dukh apni aakhon ko
sawan day doo |
• Jab seena gham se bojhl ho aur
yaad kisi ki aati ho,
Tab kamre mein band ho jana aur
chupke chupke ro lena,
Jab aankhein bhaari ho jaayen aur
yaad mein meri bhar aayen,
Phir khud ko dhoka mat dena,aur
chupke chupke ro lena,
Jab palken qarb se mondi ho aur sab
samjhe tum sote ho,
Tab chehre par takiya rakh lena aur
chupke chupke ro lena,
Yeh duniya zalim duniya hai…yeh baat
bahut phelayegi,
Tum sabke saamne chup rehna aur
chupke chupke ro lena,
Jab baarish chehra dho daale aur
ashq bhi bonden lagte ho,
Woh lamha hargiz mat khona aur
chupke chupke ro lena. |
• Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Darr hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Darr hai wo Darr na jaye
kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin |
• Guzar gaee raat aankhon aankhon
main
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon
main
Sadiyoun say piyaasi thee mohabbat
Ho gaee bersaat aankhon aankhon main
Mil na saka tha dil kabhi dil say
Ho gaee mulaqaat aankhon aankhon
main
Ahad-e-wafa or qasmoon ki bhi
Ho gaee shuruaat aankhon aankhon
main
Day diya dil aik doojay ko
Ho gaee soghaat aankhon aankhon main
Sab rasmoon riwajoon ko Saqi
Ho gaee maut aankhon aankhon main |
• Kamzoor badbaan hay, hawa taiz
kia karain
Aa apni kashtiyon ko supurd-e-khuda
karain
apni tabahiyon main hi jub apna
haath ho
phir dhushmano k waastay kiya bad-dua
karain
Shaki-e-namurad ko tarsaya umer bhar
Ham say chahta tha k hum iltija
karain
Hamnay yun ghurbaton main raat
bitayee hay sanam
Bhookay faqeer ko ab rukhsatzada
karain
Duniya teray faraib say jobach k
nikle
To sahiloon pay hum bhi namazain ada
karain |
• Meri aankhon main raho meri
aankhon main raho,
Roshni ban k meray ghar k chiraghon
main raho.!
Tera wada bhi na siyasi ho,
Ab fazaon mein na udasi ho!
Chuu k qadmon ko her khushi guzray,
Kash ab yun hi zindagi guzray!
Tum meray sath meray din meri raaton
main raho,
Meri aankhon main raho meri aankhon
main raho!
Pyaar mera tujh say kahta hay,
Dil ki dharkan mein tu hi rehta hay!
Preet main teri ban k kho jaon,
Meera k jaisi tu bhi hoo jayai!
Ban k radha tum meri murli ki tano
main raho,
Meri aankhon main raho, meri aankhon
main raho.!!
Tujhey chaha hay tujhay chahonga,
Mai na chahat say ba’az aaonga,
Teri ulfat k jhulay ain jhulun,
Saath tu day tou aasman chu lun,
Gungunaon main tujhay, dil k taron
main raho,
Meri aankhon mein raho, Meri aankhon
mein raho |
• baat chali teri aankhon say ja
pohnchi paimanay tuk
kheinch rahi hai teri ulfat, aaj
mujhey maikhanay tuk
ishq ki batain ghum ki batain, dunya
walay kertay hain
kis nay shama ka dukh dekha, kaun
gaya parwanay tuk
ishq nahin hay tum ko mujh say, sirf
bahanay kerti ho
yun hi bahanay qayam rakhna, tum
meray mer jaanay tuk
itna hi kehna hay tum say, mumkin ho
to aa jaana,
aa hi gayai tou rukna ho ga, aankhon
k pathranay tuk |
• Aankhain khuab dekhti hain
Kisi say mil janey ka
Ya khud ko kho denay ka
Tanha reh janay ka
Khud ko aar denay ka,
Chahat haar denay ka
Aankhain khuab dekhti hain
Bichray huye lamhon ka
Kisi raastay per mil janay ka
Zakhmon kay sil janey ka
Zamanay kay guzer janay ka
Khuab kay hasil ki haqeeqat ka
Haqeeqat ka khuwab main tehleel
honay ka
Bikhray khuabon ki takmeel ka
Tum to khud ik khuwab ho
Husn ka, jawani ka
Ik dard bhari kahani ka!! |
•
Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge |
|
|
|
|
|
Advertisement |
|

 |
|
Advertisement |
|
|
|